Copyright - Lenny Kravitz |
Na socha tha ke tujhe is qadar payenge
In rahon pe chalke hum sanam jayenge
Likne ki koshish to kafi ki huzoor
Na pata tha ke aise Waqt par labz kam jayenge
Hamara milna kuch yun hua
Ke mano hai aasman Mein tay hua
Warna rah bhi wahi or rahi bhi
Hamara to roz ka aana jana hai
Mujhe aaj bhi yaad hai
Jaise ke kal hi hua ho
Jane ki jaldi thi
Par main ruk sa gaya
Ek pal ko laga ki
Ye shararat hai ittefaq ki
Par mera tujhe yun rokna
Teri us bachkani ada pe yun tokna
Kya wo ittefaq tha
Ya kisi ki likhi kahani
Wo mulakat hamari
Usme Waqt Ka takaza tha
Hamen to kahi aur jana tha
Aage ki kahani thori khas hai
Aaj sach kahoo to dil ke pas hai
Meri padhne ki aadat
Aur teri iztiraar nazrien
Wo banawati hansi
Wo mehroom sansein
Mano kuch apna sa laga
Wo kehte hain na
Chor chor mausere bhai
Bas fir kya tha
Tu badhti gayi. Main padhta gaya
Maloom nahi wo kaun sa lamha tha
Maloom nahi wo aakhir kaun sa lamha tha
Jab tu yun karib huyi mujhse
Bas itna pata hai ki teri muskurahat me sukoon hai
Teri muskaan kuch khas hai
Mere Dil ke kaafi pas hai
Tere hasne ke tarike bhi hazar hai
Kisme kitni ranjish
Kisme kitna pyar
Wakif hum usse aaj hain
Main agar wo keetabi keeda
To Tu wo behskimti dastan hai
Kaha na tu badhti gayi
Main padhta gaya
Teri chehre ki ruhaniyat
Teri muskurahat ka noor
Kuch yoo cha gaya
Ke aaj mera chand bhi tu aaftab bhi tu
Are kaha to tha ki aage ki kahani thori khas hai
Mere Dil ke kaafi pas hai
Mana ke tu abhi door
Par fir bhi pas hai
yun ehsas hota hai ke mana ittefaq hua hoga
Par usme bhi upar wale ka hath raha hoga
Uske rehmo karam par chalti hai duniya
Tabhi to teri hasi ka seher hua hoga
Khair, na socha tha ke tujhe is qadar payenge
In rahon pe chalke sanam hum jayenge
Likne ki koshish to kafi ki huzoor
Na pata tha ke aise Waqt par labz kam jayenge
0 comments